Thursday, February 26, 2026

#Day_06 Umeed Sabse Bada Bojh Hai

Dusron se umeed rakhna band karo.

Zindagi ne baar-baar dikhaya hai
ki yahan har rishta kisi na kisi hisaab par tikka hota hai.
Bina matlab ke saath milna bahut kam hota hai.

Kabhi lagta hai koi hamare liye khada hoga,
par aksar wahi khada hota hai
jise kal humse kuch lena hota hai.

“Ek haath de, ek haath le” —
yeh sirf kahawat nahi,
zyadatar rishton ka sach hai.

Log madad karte hain,
par ya to unhe apni tasalli chahiye hoti hai,
ya apna kaam nikalna hota hai.

Aur jab unka matlab khatam,
to unka waqt bhi khatam.

Kadwa hai,
par sach hai —
koi kisi ke kaam tab tak aata hai
jab tak use aana hota hai.

Isliye sahara dhundhna chhod do.
Apna bojh khud uthana seekho.

Jo insaan apne pairon par khada hona seekh leta hai,
use dhokha kam lagta hai
aur nirasha kam todti hai.

Umeed kam rakho.
Taiyari zyada rakho.

Kyuki duniya saath tab deti hai
jab aap pehle hi jeetne lage hote ho.

— Bas Yun Hi, Kah Diya.

No comments:

Post a Comment